18/09/2026
Fazal-e-Insaaniyat Charity Works ki taraf se Goth Muhammad Iqbal Mahar, Ghotki mein "Masjid Al-Rasheed" ka mukammal Iftetah kar diya gaya hai. Is masjid mein chataiyan, bachon ke liye qaiday aur pani ka water hand pump bhi lagaya gaya hai. Yeh sadqa-e-jariya marhoom Abdul Rasheed Siddiqui sahab ki family ki janib se hai. Allah taala sab ke is nek amal ko apni bargah mein qabool farmaye aur marhoom ke darjaat buland farmaye. Aap bhi is nek kaam mein sath dein!