23/05/2026
Main ne suna tha qayamat ke waqat aik hawa chalegi, jis se bahut se log mar jaenge. Pehle bhi aisi hawaein chali hain. Allah Pak, aik dafa phir say woh hawa chala day aur in bezuban kutton ko is duniya say khatam kar day,
Rozana social media par in masoomon ko zeher dete, goli maarte aur tarpa-tarpa kar jaan lete dekh kar dil ro parta hai.
Pyaray Allah G..mery Sonay Allah G.. Jab inhein maara jata hai, to kya in ki dard bhari cheekhain ap tak ati hain Aalah pak. Jab woh apni masoom aankhon se apne qaatil ki taraf dekhte honge, to kya woh apni khamosh zuban mein faryaad nahi karte honge? Kya maut ka farishta inki bebasi dekh kar pareshan nahi hota hoga? Kya zameen aur aasmaan is zulm ko dekh kar khaanpte nahi honge? Phir Allah g asman kyun nahi phat jata , Zameen kyun nahi hil jati.
Aur sab se barh kar, yeh nam nihadi musalman kehte hain, "Nabi (PBUH) ne kutton ko maarnay ka hukm diya," koi in say pochay Mera Nabi... woh tu rehmat thi.. yeh hadith ka sirf aik hissa lete hain aur uske context (pas-e-manzar) ko mukammal taur par nazar-andaz kar dete hain. Sahih Muslim ki hadith mein, Prophet (PBUH) ne jin janwaron ko "fawasiq" qarar diya, un mein se aik "al-kalb al-aqur" hai. "Aqur" ka matlab aam kutta . Jo Nabi (PBUH) tamam jahano ke liye rehmat ban kar aaye, kya woh be-gunah aur masoom janwaron ke qatl ka hukm de sakte hain
Mujhe kuton say bahut mohabbat nahi, main insaan hoon aur insaniyat ka dard rakhta hoon. Jab aik maa ko us ke bacchon ke samne maara jata hai, aur woh chote bacchay apni maa ki laash ke paas baith kar bilak rahe hote hain, to insaniyat khaanpti hai. Woh bacchay bhi to akele reh gaye, unhein bhi koi maarde, taake inki is zalim dunya se jan chhoot jaye!
Woh manzar kitna khifnak hota ho ga jab aik maa apne bacchon Kay samnay zeher say Marti ho gi. Woh maa martay martay bhi apne bacchon ko chaat rahi hoti hai, unhe tasalli de rahi hoti hai, aur woh chote bacchay apni maa ki thandi hoti hui laash ke paas bilak rahe hote hain, ye samajh kar ke shayad maa abhi uth kar unhein doodh pilayegi ya unke sath khelega.
Sochiye, us janwar ke dil par kya guzarti hogi jab woh apne qaatil ke samne bheek mangta ho ga , apni dum hila kar, ghoor-ghoor kar raham ki bheek mangta hai, aur apni aankhon mein aansu liye yeh ilteja karta hai ke "mujhe maaf kar do, main ne tumhara kya bigara hai? Meri koi galti nahi, bas mujhe jeene do." Magar insaan ki hawas aur pathar dil itne hain ke uski tadap ko dekh kar bhi nahi pighalte. Balkay videos bana kar fakhar say share karty.
Mujhe log kehte hain ke main paisay zaya kar raha hoon, ke yeh napak kaam hai. Lekin kya yeh Allah ki makhlooq nahi? Jis Quran mein janwaron ka zikr hai, jis mein wafa aur sabr ki misal di gayi hai, us par amal kyun nahi kiya jata?
Hum rescuers roz in ki laashein utha utha kar thank agye hain . In ki treatments Kara Kara kar himat khatam hi fau hai. Teri Zameen par Teri makhlooq ki chupana mushkil hi gaya hai. .
Allah pak woh Hawa chala day.. yallah