Humanity Saviour Foundation

Humanity Saviour Foundation HSF directly reached out to thousands of people through
various projects across the country.

27/03/2026

11/03/2026

Alhamdulillah!

Aapki Humanity Saviour Foundation (HSF) ne is Ramzan mein ab tak 150 zaruratmand gharon tak rashan pahucha diya hai.

Yeh woh parivaar hain jinke ghar mein koi kamane wala nahi hai, aur jo mushkil halat mein apni zindagi guzar rahe hain. Aap sab ke taawun (support) aur duaon ki wajah se HSF ki team un tak madad pahucha pa rahi hai.

Hum koshish kar rahe hain ke is barkat wale mahine mein zyada se zyada zaruratmand parivaron tak rashan pahucha sakein.

Aap bhi is nek kaam mein hissa le sakte hain.
Aapki chhoti si madad kisi ke ghar mein khushiyan aur sukoon la sakti hai.

आज हमारी HSF टीम ने पंजाब के गुरदासपुर ज़िले के मकौड़ा पतन गाँव मेंकुछ दवाइयाँ और माली इमदाद पहुँचाई।हमारी कोशिश है कि ह...
14/09/2025

आज हमारी HSF टीम ने पंजाब के गुरदासपुर ज़िले के मकौड़ा पतन गाँव में
कुछ दवाइयाँ और माली इमदाद पहुँचाई।

हमारी कोशिश है कि हर मदद सही ज़रूरतमंद तक पहुँचे और
मुश्किल घड़ी में राहत का सहारा बने। ✨

14/09/2025
01/03/2025

*🌙 Humanity Saviour Foundation – Ramzan 2025 Budget & Mission 🌙*
Alhamdulillah, Humanity Saviour Foundation har saal Ramzan ke is mubarak mahine mein zarooratmand logon ki madad karne ka sharf haasil karta hai. Ramzan 2024 ke dauraan, humne aap sabhi ki madad se education aur ration distribution par khaas taur par kaam kiya.

🔹 Education ke liye humne school fees, online courses, laptops aur mobile phones tak ki sahulat faraham ki, taake kisi bhi bacche ki padhai rukne na paaye.
🔹 Ration Distribution bhi ek bada mission raha, jisme humne ghareeb aur be-sahara parivaron tak khaadya samaan pahunchaya. Alhamdulillah, har saal yeh kaam lagataar jari rehta hai. *📊 Ramzan 2025 Budget Plan – Aapki Madad Se Ek Naya Ehsaas 📊*
Is baar bhi hamara sabse bada focus education aur health sector par hai, jisse hum aur bhi zyada logon ki zindagi sudhar sakein. Hamari koshish hai ke:

📌 Education Support – Talaba ki school fees, stationery, online courses, scholarships aur digital devices ka intezam.
📌 Health Assistance – Beemar aur zarooratmand logon ke ilaaj, dawaiyon aur medical treatment ki sahulat.
📌 Ration Distribution – Ramzan Rashan Packs jisme aata, chawal, daal, cheeni, chai, tel aur doosri zaroori cheezein shamil hongi.

Ye tamam kaam aap sabhi ki madad aur support se hi mumkin hain. Har ek daan, chhoti se chhoti madad bhi kisi ki zindagi badalne ka sabab ban sakti hai. Ramzan sirf ibadat ka nahi, balke insaniyat ki khidmat ka bhi mahina hai.

*💙 Humanity Saviour Foundation*
"Ek behtar kal ki taraf ek kadam"

🤲 Aap bhi iss nek kaam ka hissa baniye aur kisi ki zindagi roshan kijiye

01/01/2025

हर साल की तरह इस साल भी कंबल वितरण किए गए।।

01/01/2025

Happy new year 🎊🎊🎊🎊

Eid Mubarak
10/04/2024

Eid Mubarak

Address

A-22, Joga Bai, Jamia Nagar, New Delhi
New Delhi
110025

Alerts

Be the first to know and let us send you an email when Humanity Saviour Foundation posts news and promotions. Your email address will not be used for any other purpose, and you can unsubscribe at any time.

Contact The Organization

Send a message to Humanity Saviour Foundation:

Share