29/03/2026
*Gausia Academy ke Marifat 'Noori Silai Centre' ki iftetah*
29th march, sunday ko 11 baje *Jamia Bagh e Zahra* (Hira institute Ramania Pokhar, Pothia, Kishanganj, Bihar ) mein ladkiyon ko hunarmand aur atmanirbhar banane ke liye *'Noori silai centre'* ka aagaz kiya gaya is mauqe par Hazrat Allama M***i Sajjad Najmi Barkaati Sahab, Janab Qamarul Huda Sahab (MLA Kishanganj) Janab Sohail Rahmani Sahab (Registration office Thakurganj) ke elawa anya sammanit hastiyan maujood thi.
Hum *Janab Muhammed Juned Kasmani Sahab* ka shukriya aada karte hain jinhone is nek kaam mein ta'wun kiya. Allah inko iski jazaa ataa farmaye Aameen.
*Gausia Academy*