18/04/2025
Gomti Nadi, jo Lucknow ki lifeline hai, aajkal ek bade sankat ka saamna kar rahi hai. Nadi mein nale ka ganda pani ja raha hai, jisse nadi ka pani durgandhit aur pradush*t ho gaya hai. Yeh samasya na keval nadi ke liye, balki shahar ke rahane wale logon ke liye bhi ek bada chunauti hai.