Bands of brothers

Bands of brothers REG NO -LUC/07833/23-24
Whatsapp 9235617779
ESTD-2017

“कुछ ज़ख्म समय भी नहीं भर पाता।लखनऊ अग्निकांड के सभी दिवंगतों को विनम्र श्रद्धांजलि।Band of Brothers Foundation इस दुःख ...
23/06/2026

“कुछ ज़ख्म समय भी नहीं भर पाता।
लखनऊ अग्निकांड के सभी दिवंगतों को विनम्र श्रद्धांजलि।
Band of Brothers Foundation इस दुःख की घड़ी में शोक संतप्त परिवारों के साथ खड़ा है।”

26/05/2026

Duniya ki sabse khoobsurat feeling — kisi ki majboori door karna ✨
❤️

19/04/2026

“Aap bhi hero ban sakte ho… aaj hi blood donate karo 🙌
Tag karo unhe jo next donor ban sakte hain 👇”

RealHeroes HelpOthers NGO SpreadLove LifeSaver BeTheChange

18/04/2026

Band of Brothers dusre din bhi wapas aaya,
taaki kisi ko akela mehsoos na ho.

Har haath madad ka ho…
toh har mushkil aasaan ho jaati hai 🤝❤️

“Aap bhi support karna chahte ho to DM karein”

17/04/2026

Aag ne unka sab kuch cheen liya…
ghar, samaan, yaadein… 💔
par hum unhe akela nahi chhodenge.

Har mushkil me saath khada hai
Band of Brothers 🤝❤️

# HelpOthers Insaaniyat Support TogetherWeStand

Lucknow ki pehchaan hai tehzeeb… lekin patangbazi ke chakkar me aae din kisi na kisi ki gardan katne ki khabar dil tod d...
23/03/2026

Lucknow ki pehchaan hai tehzeeb… lekin patangbazi ke chakkar me aae din kisi na kisi ki gardan katne ki khabar dil tod deti hai. 💔

Yeh sirf ek khel nahi raha… yeh jaanleva ban chuka hai.

Zara sochiye — ek pal ki khushi, aur kisi ki zindagi hamesha ke liye badal jaati hai. Na jaane kitne log, bike riders, bachche aur raah chalte log is khatarnaak manja ka shikaar ho rahe hain.

🙏 Guzaarish hai:
• Metal ya Chinese manja ka istemaal band karein
• Khud bhi safe rahein, dusron ki zindagi ka bhi khayal rakhein
• Awareness phailaayein, taaki aur haadse na ho

Lucknow ki asli shaan insaaniyat hai… usse bachayein. ❤️

🤝 Band of Brothers Foundation ke saath judkar is muhim ka hissa banein.
Aaiye milkar awaaz uthayein aur zindagiyan bachayein.

HumanityFirst

Band of Brothers Monthly Support Initiative 🤝Har mahine sirf ₹100…Aur aap ban sakte hain kisi ki muskurahat ka sabab ❤️H...
23/02/2026

Band of Brothers Monthly Support Initiative 🤝

Har mahine sirf ₹100…
Aur aap ban sakte hain kisi ki muskurahat ka sabab ❤️

Humne ek muheem shuru ki hai jisme har member sirf 100 rupees per month contribute karega.
Chhoti si rakam… lekin jab sab milkar denge, to ye kisi zarooratmand ke liye ration, dawa ya basic zaroorat ban sakti hai.

✨ Sochiye… agar 100 log ₹100 den, to ₹10,000 mahine ka fund ready!
Aur us fund se kitni families ki madad ho sakti hai.

Aapka ₹100 –
✔ Kisi ke ghar ka chulha jalayega
✔ Kisi bachche ki padhai me madad karega
✔ Kisi zarooratmand ki izzat bachayega

Aaiye, sirf ₹100 se ek zariya-e-madad bane.
Aaj hi humse jude aur is muheem ka hissa bane.

📩 DM karein ya WhatsApp karein: 9235617779
📱 Instagram:

TogetherWeCan

20/02/2026

🚨 URGENT BLOOD REQUIRED 🚨

Lucknow ke Balrampur Hospital me 4 unit blood ki sakht zarurat hai.

Ek zindagi ventilator par nahi…
Umeed par tikki hui hai 💔

Aaj kisi ka bhai…
Kisi ka beta…
Kisi ka walid…
Blood ka intezar kar raha hai 🤲

Agar aap healthy hain aur blood donate kar sakte hain,
Toh please aage aayein.

🚗 Pick & Drop facility available
📞 Contact immediately: (9235617779)

Aapka 20 minute…
Kisi ki poori zindagi bachaa sakta hai ❤️

Please share karein — shayad aapka share hi donor tak pohcha de.

Address

546/209 Near Era Medical College Sarfarazganj
Lucknow
226003

Telephone

+917985270554

Website

Alerts

Be the first to know and let us send you an email when Bands of brothers posts news and promotions. Your email address will not be used for any other purpose, and you can unsubscribe at any time.

Shortcuts

Share