10/04/2023
Aftab e Shekhawati, Shahanshah e Wilayat, Najmul Auliya, Sirajul Asfiya
Tamam halqa bagoshan e Silsila e Najmiya Sulaimaniya Fakhriya Nizamiya Chishtiya Bahishtiya wa jumla aqeedatmandaan ko sad'ha Mubarak.
Aaj sham ba waqt e Iftar apney gharon mein hasb e haisiyat nazro niyaz ka ehtimam karein, aur ghurba fuqra wa masakeen ko khana taqseem karein.
Allah Ta'ala mere jadde buzurgwar ke tawassul se sab ki jayaz muradein poori farmaye aur hum sabko deeno duniya mein surkhru farmaye. Ameen Bijahinnabiyyil kareem Sallallahu Alayhi Wa Aalihi Wasallam.
Dua go
Sajjadanasheen wa Mutawalli
Fatehpur Shekhawati