06/09/2026
Aaj ek paltu dog mila… 🐶💔
Uski haalat dekhkar dil andar tak hil gaya. Woh apne pichhle pairon par khada tak nahi ho paa raha tha… bas chupchaap pada tha.
Sabse zyada takleef is baat ne di ki jis insaan ne kabhi use apna kaha hoga, usi ne aaj usse uski sabse mushkil ghadi mein akela chhod diya.
Pata nahi us bachche ne kitni der tak apne owner ka intezaar kiya hoga… 🥺
Kuch der baad woh achanak wahan se gayab ho gaya. Maine bahut dhoonda… galiyon mein, aas-paas ke areas mein, har taraf dekha… lekin woh nahi mila.
Aur ab dil mein ek ajeeb si kasak reh gayi hai…
Kaash mere paas jagah hoti…
Kaash main har us bachche ko apne paas rakh pata jo mushkil waqt mein akela reh jaata hai.
Kaash main usse utha kar ghar le aata aur kehta—
“Ab tujhe kahin jaane ki zarurat nahi… ab tu akela nahi hai.” ❤️🩹
Lekin mere paas bhi ek limit hai… aur shayad isi bebasi ka sabse zyada dukh hota hai.
Aaj woh bachcha kahan hai, kis haal mein hai, kuch pata nahi…
Bas dil se dua hai ki kisi achhe insaan ko mil gaya ho, jo use wapas wahi pyaar de raha ho jiske woh haqdar tha. 🙏🐾
Hum har jaan ko bacha nahi paate…
Lekin jis din kisi ek ko bacha lete hain, us din lagta hai ki shayad hamara hona kisi kaam aaya. ❤️
Yeh mghe Sai Baba Mandir, Ram Nagar k pass dikha tha agr aap mai koi iske owner ko janta hoga to please inform krna usko ki isko le jaye, yeh aise survive nhi kr payega🥺