06/10/2025
Assalam alaikum all followers is page ka maqsad bio main ap sub samjh chuky hongy meri ek choti si koshish hai k un safaid posh logon ki madad ki jasaky jo kisi ko apni taklef nahi bataty yahan welfares main madad ek mushkil tareen marhala hai ye her us insan ko tabhi pata chalta hai jub wo zarurat mand ban k kisi idary main jata hai wahan k logon k rawaiye or madad bhi apni marzi k logon ki karna ye ek aam baat hai ye wahi log hain jo donations lety waqt tou nahi poochty k paisa halal hai ya haram per kisi zarurat mand ki as pas se information lekar uska pait zarur kholdety hain jiski waja se ek izzatdar un tak jana hi nhi chahta yahan jo b case upload kiya jayega uski puri personal verification main khud karungi or koshish yehi hai k asani paida kar sakoon jis main ap sub k sath ki zarurat hogi shukria.