Naat lyrics

Naat lyrics this page share some of most famous and beautiful naats and hamds and manqabats this page is managed by Team Aasahiqaan e Rasool Hyderabad

17/03/2026

Alvida Alvida Mahe Ramzan Lyrics
Alwada Alwada Mahe Ramzan
Qalb-e-Aashiq Hain Ab Para Para,
Alwada Alwada Mahe Ramazan.

Tere Aaney Se Dil Khush Huwa Tha,
Aur Zoak-e-Ibadat Badha Tha,
Aahh Ab Dil Pe Hain Ghum Ka Galba,
Alwada Alwada Mahe-e-Ramazan.

Naikiyan Kuch Na Hum Kar Sakain Hain,
Aah Issiya He Main Din Katain Hain,
Haaye Gaflat Main Tujh Ko Guzara,
Alwada Alwada Mah-e-Ramzan.

Koi Husn-e-Amal Na Kar Sakaa Hoo,
Chand Ansoo Nazar Kar Raha Hoo,
Yehi Hai Mera Kul Asasaaa,
Alwada Alwada Mah-e-Ramzan.

Jub Guzar Jayenge Mah Giyara,
Teri Aamad Ka Aamad ka Phir Shoor Hoga,
Kiya Meri Zindagi Ka Bharosa,
Alwada Alwada Mah-e-Ramzan.


Bazm Iftar Sajti Thi Thi Kaisi,
Khood Sehri Ki Ronak Bhi Hotee,
Sub Sama Hogaya Suna Suna,
Alwada Alwada Mah-e-Ramzan.

Yaad Ramzan Ki Tarpa Rahee Hai,
Aansoo Ki Jarhee Lag Gayee Hain,
Keh Raha Hai Har Aik Qatra,
Alwada Alwada Mah-e-Ramzan.

Tere Diwane Sub Ke Sub Ro Rahe Hain,
Muztarib Sub Ke Sub Ho Rahe Hain,
Kaun Dega Inhe Ab Dilasa,
Alwada Alwada Mahe Ramzan.

Sag-e-ATTAR, Badkar, Qahil,
Rah Gaya Yeh Ibadat Se Gaafil,
Is Se khush Hoke Hona Rawana, Hum Sub Se Khush Hoke Hona Rawana
ALWADA ALWADA MAHE-E-RAMZAN,
ALWADA ALWADA MAHE-E-RAMZAN.

Aae Musalman Tho Zinda Rahoge,
Is Mahiney Ko Phir Dekh Looge,
Kiya Teri Zindagi Ka Bharoosaaa,
Alwada Alwada Mah-e-Ramzan.

Saal-e-Ainda Shah-e-Haram Tum,
Karna Hum Sub Par Yeh Karam Tum,
Tum Madiney Mai Ramadan Dikhana,
Tum Madiney Mai Ramadan Dikhana,
Tum Madiney Mai Ramadan Dikhana,(AAMEEN)
Alwada Alwada Mah-e-Ramadan.

Waasta Tujh Ko Meethey Nabi Ka,
Hashr Mai Humko Mat Bhool Jana,
Roz-e-Mehshar Humain Bukhshwana,
Roz-e-Mehshar Humain Bukhshwana,(Aameen)
Alwada Alwada Mah-e-Ramadan.

Tum Pe Lakhoo Salam Mah-e-Ramzan,
Tum Pe Lakhoo Salam Mah-e-Gufran,
Jao Hafiz Khuda Ab Tumhara,
Alwada Alwada Mah-e-Ramadan.
ALWADA ALWADA MAHE-E-RAMZAN,
ALWADA ALWADA MAHE-E-RAMZAN

17/03/2026

mushkil Taalo shaah-e-umam kar do aaqaa nazar-e-karam

karam tumhaaraa 'aam hai jahaa.n pe mehrbaan ho tum
karam kii bhiik do hame.n kariimaa be-kasaa.n ho tum
mohtaajo.n kaa rakh lo bhram kar do aaqaa nazar-e-karam

tumhaare dar se yaa nabii kahaa.n faqiir jaa.e.nge
tumhii se lo lagaa.ii hai tumhii se bhiik paa.e.nge
ma.ngte hai.n us dar ke ham kar do aaqaa nazar-e-karam

idhar bhii shaah-e-mursalii.n ko.ii ishaaraa chaahiye
habiib-e-kibriyaa karam tumhaaraa chaahiye
kab tak jhele.n ra.nj-o-alam kar do aaqaa nazar-e-karam

jamaal-e-haq-numaa ho tum ye sab tumhaaraa nuur hai
tumhaare faiz-e-'aam kaa har jagah zuhuur hai
ham dukhiyo.n ke Taalo Gam kar do aaqaa nazar-e-karam

gire hai.n mushkilo.n me.n ham ba.Daa kaThin maqaam hai
hamaare lab pe mustafaa faqat tumhaaraa naam hai
har ma.ngte kii aa.nkh hai nam kar do aaqaa nazar-e-karam

21/02/2026

Shahan e Jahan kis liye sharmaye hua han
Kya Bazam ma taiba ka Gada aye hua hain

Is waqt na cher a kashish e lazzat e dunya
Is waqt mera dil ko wo yaad aye hua hain

Jannat ka fazain unhain bahla na sakain ge
Jo ap ke galyon ki hawa khaye hua hain

Sultan e do aalam ke ata or ye aasi
Kuch log to is baat pe chakrae hua hain

Hangama e Mahshar ma kahan habas ka khadsha
Gesu shah e konain ke lahra e hua han

Ban jaye gi mahshar ma naseer ab tere bigri
Kyun Ke Sarkar Shafaet ke liye aaye hua han

Pada hun Dar pe Tere Misl-e-kah Ya Zahra,Mile Fakir ko Kheyrat-e-jah Ya Zahra;Hey Murtuza Tere Shouhar to Mustufa Baba,Z...
20/02/2026

Pada hun Dar pe Tere Misl-e-kah Ya Zahra,
Mile Fakir ko Kheyrat-e-jah Ya Zahra;

Hey Murtuza Tere Shouhar to Mustufa Baba,
Zahe ye Ojo saraf izzo-jah Ya Zahra;

Miley jo iski ijazat muje Shariyat se,
To Tera Dar ho meri Sajda-gah Ya Zahra;

Khuda ko meine sada la'shariq mana hey,
Khuda ke samne rehna Gawah Ya Zahra;

Hey Jinke Noor se ummat ke Roz-o-shab roushan,
Hassan Hussain Tere Mehro-mah Ya Zahra;

Tere Hussain ka Kirdar dekh kar ab tak,
Pukarte hein Malak Wah-wah Ya Zahra;

Hey Teri Aal se Pirane Pir Mohyuddin,
Jo Awliya ke huwe Sar-parah Ya Zahra;

Bharun to keyse bharun dam Teri ghulami ka,
Bahot badi hey Teri Bargah Ya Zahra;

Tu Badshah-e-Do Aalam ki aek Shehzadi,
Mein aek gharib Teri gard-e-raah Ya Zahra;

Mein bahut bura hun magar Tera wo Gharana hey,
Kiya bure se bhi Jisne nibhah Ya Zahra;

Bhari hey Dar se hazaron ne jholiyan apni,
Meri taraf bhi Karam ki Nigah Ya Zahra;

Na fer aaj muje Apne dar se Tu khali,
Ke Tere Baba hein Shaho ke Shah Ya Zahra;

Jiyun to leke jiyun Teri Daulat e Nisbat,
Marun to leke marun Teri Chah Ya Zahra;

Malayaka hein khade Ba'adab Tere dar par,
Hey Ambiya main Tera Aehtaram Ya Zahra;

Makam e Mariyam o Hawwa bhi hey baja lekin,
Tera makam hey Tera makam Ya Zahra;

Hassan se leke zuhure janabe Mahdi tak,
Tere Nashab se hein ye sab Imam Ya Zahra;

Har aek saans se aati thi Mustufa ki mahak,
Teri Hayat pe lakhon salaam Ya Zahra;

Baroz-e-hasr na pursha ho jab koi uska,
Mile 'Naseer' ko Teri panah Ya Zahra!

__________________________________________

Hazrath Syed Shah Naseeruddin Naseer Chishty Golarvi (Rehmatullahaleyh)

17/02/2026

Ahl-e-nazar ki aankh ka taara Ali Ali
Ahl-e-wafa ke dil ka sahaara Ali Ali

Ek kaif, ek suroor sa rehta hai raat din
Jab se hua hai wird hamaara Ali Ali

Duniya mein sab se aala gharaane ke noor ho
Is waaste hai naam tumhaara Ali Ali

Kaabe ke but giraaye nahi apne haath se
Sarkar ﷺ ne muskura ke pukaara Ali Ali

Jungle pahaad kehte hain Naad-e-Ali Ali
Mushkil ko meri hal karo Mushkil-Kusha Ali

Tan par Ali Ali ho, zubaan par Ali Ali
Mar jaaun main to likhna kafan par Ali Ali

Aazam yeh maghfirat ki sanad hai hamaare paas
Hum hain Ali ke aur hamaara Ali Ali

To read lyrics in Urdu and hindi -

Ahl-e-Nazar Ki Aankh Ka Taara Ali Ali manqabat lyrics Roman English, Hindi aur Urdu mein. Mashhoor manqabat Lab Pe Naat Lyrics par.

02/02/2026

Mere Maula Karam Ho Karam Mere Maula! Karam Ho Karam

Tujh se fariyad karte hain hum
Mere Maula Karam Ho Karam

Mere Maula Maula Maula!
Mere Maula Maula Maula!
Mere Maula Maula Maula!
Mere Maula Maula Maula!

Ye zameen aur ye aasmaan
Tere qabze me hain do jahaan
Sab pe tu hi to hai mehrbaan
Hum tere dar se jaayein kahaan
Tu hi sunta hai sab ki sada
Tu hi rakhta hai sab ka bharam

Mere Maula! Karam Ho Karam, Mere Maula! Karam Ho Karam
Mere Maula Maula Maula! Mere Maula Maula Maula!

Bhool baithe hain tera kaha
Tune Quran me jo likha
Aaj hain dar-ba-dar is tarah
Koi bikhri ladi jis tarah
Ek kar hum ko bahar-e-Shaha
Hum ne khud pe kiye hain sitam

Mere Maula Karam Ho Karam
Mere Maula Maula Maula! Mere Maula Maula Maula!

Bekason ko sahara mile
Doobaton ko kinara mile
Sar se tufan pal me tale
Jo tera ikk ishara mile
Tu jo kar de mehrbaniyan
Door ho jaye har ek gham

Mere Maula Karam Ho Karam
Mere Maula Maula Maula!

Ham ki ranjoor-o-behaal hain
Bekas-o-khasta-ahwaal hain
Apne daaman me aansu hain bas
Paak kar de hamare nafs
Zikr tera jahan bhi karein
Ek pal me ho aankhein ye nam

Mere Maula Karam Ho Karam
Mere Maula Maula Maula!

21/01/2026

Maah e madina wo shahe wala
Hai jiske dhum se jag me ujala

Sab ka mu’allim aisa ek ummi
Usdaat jiska khud haq ta’ala

Ummat me jiski tehra baraabar
Adna se adna aala se aala

Zarbad se thouheed ki jisne thoda
Shirk e jali ka mazboot taala
Rothe huon ko jisne hasayaa
Girthe huon ko jisne sambhaala
Jis ko Umar(r.z) ne bas de diya dil
Jaancha na parka dekha na bhaala
Har lamha jiska oolaa se aulaa
Har Aan me jo baala se baala
Dekha na ab tak chasme falak ne
Aisa anokha aisa niraala

Imaan o taqwa me ∑ yaare izzat
Waj-he fazeelat Gora na kaala

Us shah ka mai adna gadaa hoon
Aalam mein jiska hai bol baala

Kunje lahad ho pul ho ke meeza
Har Jaan chalega tera hawaala

Jisko daboya mauj e alam ne
Tokhar se toone usko uchaala

Tera bulaaya maqbool e daawar
Mardood e yesdaaan tera nikaala

Paani ke hothe paani ko tarsa
Dil bande zahra naaz o ka paala

Darbaa’n jo uljah baab e Nabi par
Usne kaha K*m mai ne kaha laa

Tujko Naseer ab kya khauf e dozakh
Pul par khada hai khud kamli waala

31/12/2025

Lutf Unka Aam Ho Hi Jayega
Shad Har Nakam Ho Hi Jayega

Jan De Do Wa’ada E Deedar Par
Naqd Apna Dam Ho Hi Jayega

Shad Hai Firdous Yani Ek Din
Qismat E Khuddam Ho Hi Jayega

Yad Reh Jayengi Ye Be-Bakiya
Nafs Tu To Ram Ho Hi Jayega

Be Nishano Ka Nishan Mit-ta Nahi
Mit-te Mit-te Nam Ho Hi Jayega

Yad E Ghesu Zikr E Haq Ah Kar
Dil Me Paida Lam Ho Hi Jayega

Ek Din Awaz Badlenge Ye Saz
Chah-Chaha Kohram Ho Hi Jayega

Sailo Daman Sakhee Ka Tham Lo
Kuch Na Kuch In’am Ho Hi Jayega

Yad E Abru Karke Tadpe Bulbulo
Tukde Tukde Dam Ho Hi Jayega

Mufliso Unki Gali Me Ja Pado
Bagh E Khuld ikram Ho Hi Jayega

Gar Yuhi Rehmat Ki Tawile Rahi
Madh(a) Har Ilzam Ho Hi Jayega

Bada Khwari Ka Sama Bandhne To Do
Shaikh Durd-Asham Ho Hi Jayega

Gham To Unko Bhulkar Lipta Hai Yu(n)
Jaise Apna Kam Ho Hi Jayega

Mit Ki Gar Yuhi Raha Karz E Hayat
Jan Ka Nilam Ho Hi Jayega

Aqilo Un Ki Nazar Seedhi Rahe
Borwo Ka Bhi Kam Ho Hi Jayega

Ab To Layi Hai Shafa’at Afw Par
Badhte Badhte Am Ho Hi Jayega

Ay Raza Har Kam Ka Ik Waqt Hai
Dil Ko Bhi Aram Ho Hi Jayega

31/12/2025

Shahe Do Aalam Salaam Assalaam
Garibon Ke Hamdam Salaam Assalaam

Rab Ne Bade Pyar Se Me’araaj Me Kaha
Rehne Do Naaleyn Ko Aa Jaao Mustufa
Qadam E Muhammad Ka Liya Arsh Ne Bosa
Jhum Uthe Saare Malaaik Va Marhaba
Mange Jo Nabi, Rab Ne Woh Diya
Rab Ne Jo Diya, Nabi Ne Woh Liya
Jhuka Arsh E Aazam Salaam Assalam

Shahe Do Aalam Salaam Assalaam
Garibon Ke Hamdam Salaam Assalaam

Aap Ne Jo Kar Diya Ungali Ka Ishaara
Chaand Do Tukde Huva Qurbaan Ho Gaya
Jab Namaaz E Asar Ali Ki Huyi Qaza
Aap Ne Suraj Ko Dubara Palat Diya
Aap Jo Kiye, Mo’ajize Bane
Aap Jab Chale, Do Jahaan Jhuke
Mera Sar Bhi Hai Kham Salaam Assalam
Karo Door Har Gham Salaam Assalam
Har Aankhe Ho Purnam Salaam Assalam

Shahe Do Aalam Salaam Assalaam
Garibon Ke Hamdam Salaam Assalaam

Ya Nabi! Ab Hind Me Mushkil Huaa Jeena
Nazre Karam Se Hame Bulwaalo Madina
Paas Hamaare Na Koi Maal Va Zar Hai
Hamse Badi Door Madine Ka Safar Hai
Der Naa Karo, Jaldi Bulaalo
Dar Pe Bulaa Kar Gham Se Chhuda Lo
Nikal Jaaye Na Dam Salaam Assalaam

Shahe Do Aalam Salaam Assalaam
Garibon Ke Hamdam Salaam Assalaam

Ya Nabi! Ab Hashr Me Ummat Ko Bachaana
Aasiyon Ko Noori Chaadar Me Chhupaana
Zindagi Hamari Gunahon Me Kati Hai
Ya Nabi! Bakhsish Pe Nazar Sab Ki Lagi Hai
Shaahe Abmiya! Dena Sahaara
Noore Qibriya! Sun Lo Ye Sadaa
Karam Jaane Aalam Salaam Assalaam

Shahe Do Aalam Salaam Assalaam
Garibon Ke Hamdam Salaam Assalaam

31/12/2025

Maahe madina wo shahe wala
Hai jiske dhum se jag me ujala
Sab ka mu’allim aisa ek ummi
Usdaat jiska khud haq ta’ala
Ummat me jiski tehra baraabar
Adna se adna aala se aala
Zarbad se thouheed ki jisne thoda
Shirk e jali ka mazboot taala
Rothe huon ko jisne hasayaa
Girthe huon ko jisne sambhaala
Jis ko Umar(r.z) ne bas de diya dil
Jaancha na parka dekha na bhaala
Har lamha jiska oolaa se aulaa
Har Aan me jo baala se baala
Dekha na ab tak chasme falak ne
Aisa anokha aisa niraala
Imaan o taqwa me Miyaare izzat
Waj-he fazeelat Gora na kaala
Us shah ka mai adna gadaa hoon
Aalam mein jiska hai bol baala
Kunje lahad ho pul ho ke meeza
Har Jaaan chalega tera hawaala
Jisko daboya mauj e alam ne
Tokhar se toone usko uchaala
Tera bulaaya maqbool e daawar
Mardood e yesdaaan tera nikaala
Paani ke hothe paani ko tarsa
Dil bande zahra naaz o ka paala
Darbaa’n jo uljah baab e Nabi par
Usne kaha K*m mai ne kaha laa
Tujko Naseer ab kya khauf e dozakh
Pul par khada hai khud kamli waala

21/12/2025

Address

Hyderabad
Hyderabad

Alerts

Be the first to know and let us send you an email when Naat lyrics posts news and promotions. Your email address will not be used for any other purpose, and you can unsubscribe at any time.

Contact The Organization

Send a message to Naat lyrics:

Share