02/10/2026
27 lakh log. Aur mera dil shukriya se bhara hua. 🙏❤️
2019 mein jab content banana shuru kiya tha, tab business aur zindagi ka tajurba toh tha… lekin camera ke saamne apni baat rakhna seekh raha tha.
Kabhi socha nahi tha ki ek din 27 lakh log is safar ka hissa ban jayenge.
Aapne sirf FOLLOW nahi kiya.
Aapne meri baat suni, apno tak pahunchayi aur mujhe apni zindagi mein jagah di.
Mere liye yeh bahut badi baat hai. ❤️
68 saal ki umar mein aapka pyaar mujhe har subah ek nayi energy deta hai. Mann kehta hai—abhi bahut kuch karna hai, bahut kuch baantna hai.
Haath jodkar, dil se… aap sabka shukriya. 🙏
Mera vaada hai: apni jeet ke saath apni galtiyan bhi share karta rahunga. Taaki jo seekhne mein mujhe saalon lage, woh aapke safar ko thoda aasaan bana sake.
Manzil sirf followers badhana nahi…
Har Ghar Entrepreneur banana hai. 🇮🇳
Aap mere saath kab se jude hain? Comments mein zaroor batayein. ❤️